Audio: https://music.youtube.com/watch?v=Ei_-Uw9zKXo
Video:
Saraswati Ma Sharada
Swar Ka Humko Jnan Do
Kanth Pe Mere Birajo
Bhakth Hoon Tum Jnan Do
Saraswati Ma Sharada
Swar Ka Humko Jnan Do
Meri Buddhi Me Hamesha
Jnan Ka Prakash Ho
Chitt Me Meri Hamesha
Aapka Hi Vaas Ho
Aapki Bhakthi Karu Maa
Yeh Mujhe Vardaan Do
Saraswati Ma Sharada
Swar Ka Humko Jnan Do
Shyam Ki Bansi Ke Jaise
Mujhko Meethi Bol Do
Kanth Me Apni Daya Ki
Aap Mishri Ghol Do
Daas Ki Dushvaar Manzil
Ko Zara Asaan Kar Do
Saraswati Ma Sharada
Swar Ka Humko Jnan Do