People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 10 *

rel me jiyaa moraa
Music: Madan Mohan
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ankhen/Rail-Mein-Jiya-Mora/AC
rel me jiyaa moraa sananaa-naa hoye re

rel me baithe naino ke maare
rel me haay maaraa haay maaraa hoye re

rel me baithe log khilaadi
rel me tiggaa chaukaa pajaa chhakkaa hoye re

rel me baithe log pajaabi
rel me hallaa gullaa hallaa gullaa hoye re

rel me baithe banaarasi chaube
rel me puri halavaa puri halavaa hoye re

rel me baithe log bagaali
rel me rasagullaa rasagullaa hoye re
Narayan Teri Leela-1
Singer: Manna Dey
Music: S.N.Tripathi
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baal-Mahabharat/Narayan-Teri-
narayan teri leela navras sangam
teri prerna se rachat hai ye mahabharat
mahabharat
narayan teri leela navras sangam
teri prerna se rachat hai ye mahabharat
mahabharat

muni shraap se vyakul hue pati patni ko
putr kaise praapt ho bataya rishi ne
muni durwasha ke batlaaye mantr se
haan muni durwasha ke batlaaye mantr se
putr paane ka upaay kiya ? ne
narayan teri leela navras sangam
teri prerna se rachat hai ye mahabharat
mahabharat

krishna se pahle balraam ne brij me janam liya
idhar dharm ki kripa se kunti bani putr ki maiya
ye shubh baata sun gaandhari krodhit bahut hui
apne garbh par haath maar ke vo murchhit ho gayi
mantr shakti se garbh pind ki, vyaas muni ne raksha ki
sau putro me baant use kaurvo ki rachna ki
kunti ne puja vaayu dev ko
to putr bheem hue unke garbh se
prtham paatr me aaye kalyug
hua sut gaandhari ke garbh se
hua sut gaandhari ke garbh se
Gaaye Hum Naache Hum
Singer: Vani Jayaram
Music: S.N.Tripathi
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baal-Mahabharat/Gaayen-Hum-Na
gaye hum nache hum
natvar krishn nachate tum
teri bansuri ki dhun pe
geet pyar ke gaye hum
gaye hum nache hum
natvar krishn nachate tum
teri bansuri ki dhun pe
geet pyar ke gaye hum

devtao danvo ne mil
samutr manthan kiya to
devtao danvo ne mil
samutr manthan kiya to
amrit mila to pine ko
chale sur ashur dono hi
bhai bhai ko mohan
tumne ek duje se ladte dekha
tab tumne ek chal chali
naari vesh me sajjit ho
devo ko danvo ko
akarshit kar liya sabko
chakit kiya tumne sabko
aur tumne amrit banta devtao ko
aur muskano se mohit
kar diya un danvo ko
gaye hum nache hum
natvar krishn nachate tum
teri bansuri ki dhun pe
geet pyar ke gaye hum

indr ki padvi hume mili to
ghat huye raja bali
uska garv mardan karne ko
vaman bane hari
bali se hari ne daan teen
pag dharti mangi rahne ko
shukr bane avrodh daan
sankalp me kabhi bali ne fodi
ek tinke se aankh aachary ki han han
itne huye vishal vaman
chhune lage ambar ko
bhu lok liya pahle pag se
napa gagan duje dag se
bali ko tisre charan se bhejo
patal me swarg se
gaye hum nache hum
natvar krishn nachate tum
teri bansuri ki dhun pe
geet pyar ke gaye hum
teri bansuri ki dhun pe
geet pyar ke gaye hum
geet pyar ke gaye hum
geet pyar ke gaye hum
geet pyar ke gaye hum
Pyaare Pyaare Bade Bhaiyya
Singer: Vani Jayaram
Music: S.N.Tripathi
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baal-Mahabharat/Pyare-Pyare-B
pyare pyare bade bhaiya
pyare pyare chote bhaiya
dekha na suna aise veer ho tum
kar loge jaisa kaary ho
pyare pyare pyare pyare bade bhaiya
pyare pyare chote bhaiya

mata ko sukh kyun na ho
aji aap suputr hai pure sau
mata ko sukh kyun na ho
aji aap suputr hai pure sau
mithila ke hey re bana sakte
ho bhari mast bhoh pade ek hathi ko
haan bhari mast bhoh pade ek hathi ko
veeron ke veer aise shuron ke shur
aise mahaan ho shaktimaan ho
pyare pyare pyare pyare bade bhaiya
pyare pyare chote bhaiya

devon mein likha hai hove putr aisa
hai nahi koi devta maa jaisa
ichha jo puri kare janni ki
ichha jo puri kare janni ki
ye bete aise ho dev putr jaise ho
balwaan dronachary bhishm jaise
pyare pyare pyare pyare bade bhaiya
pyare pyare chote bhaiya

bajte ho nakare moti se bhushit
ratno ki chhtr shushobhit ho
bajte ho nakare moti se bhushit
ratno ki chhtr shushobhit ho
unche bandhe todan ho
khushiyan ho rutwaan ho
unche bandhe todan ho
khushiyan ho rutwaan ho
vand pahaaiva ho maryada unchi ho
aanandmay apna jivan ho
dekha na suna aise veer ho tum
kar loge jaisa kaary ho
pyare pyare pyare pyare bade bhaiya
pyare pyare chote bhaiya
Swagat Ho
Singer: Vani Jayaram
Music: S.N.Tripathi
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baal-Mahabharat/Swagat-Ho/CC4
swagat ho swagat ho
swagat ho swagat ho
guru dev ka swagat ho
mahaveer guru ka swagat ho
bhaiyo anandit ho jao
aaha ye shubh muhurt aaya ho
jaage bhagay hai sab hi ke
sabke man ka phool khila
jaage bhagay hai sab hi ke
sabke man ka phool khila

achary guru devta
maha rajao ke pujy hain
achary guru devta
maha rajao ke pujy hain
patal se ganga laake
panw guru ke dhoye aaj
patal se ganga laake
panw guru ke dhoye aaj
baje dhapli, jhanjh baje
baje dhapli jhanjh baje
gagan bhede shankhnaad me
man ka andhkar mitao
phool haar pahna lo aaj
phool haar pahna lo aaj
swagat ho swagat ho
guru dev ka swagat ho

lakshay bhed guru ka uttam
jo netr ho shankar shiv ka
lakshay bhed guru ka uttam
jo netr ho shankar shiv ka
manusy roopi bhagwan hain
vidhya ka bhandar bhara
in jaisa ho, koi nahi vo
gurudev ko hath jod
aarti utare barambar
aarti utare barambar
puja kar le guru hain ye mahan
puja kar le guru hain ye mahan
swagat ho swagat ho
guru dev ka swagat ho
mahaveer guru ka swagat ho
bhaiyo anandit ho jao
aaha ye shubh muhurt aaya ho
jaage bhagay hai sab hi ke
sabke man ka phool khila
jaage bhagay hai sab hi ke
sabke man ka phool khila
O Mere Kanhaiya
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dagabaaz/O-Mere-Kanhaiya-Mamt
o mere kanhaiya mere shaam salone tujhe
dekhu to ankhiyon ke pyaas bujhe
andhiyare mein tu hi pyar ki jyoti
ab tu hi sahara teri aas mujhe
o mere kanhaiya mere shaam salone

tu ruthe ho rain andhere, bhor khile muskaan pe tere
tu ruthe ho rain andhere, bhor khile muskaan pe tere
raat din ke phere khel hai ye tere
ho chaand suraj tere aage jhuke
o mere kanhaiya mere shaam salone tujhe
dekhu to ankhiyon ke pyaas bujhe
o mere kanhaiya mere shaam salone

jab dekhu main rup me tere, sukh dukh mein tu sath hai mere
tu hi dhan hai mera, aasra hai tera
duniya main bhulu par naa bhulu tujhe
o mere kanhaiya mere shaam salone tujhe
dekhu to ankhiyon ke pyaas bujhe
o mere kanhaiya mere shaam salone
Hum Manmauji
Singer: Mukesh
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dagabaaz/Ham-Manmauji-Dil-Men
hum man mauji rahi mastane
raho me rukna na jane
hum man mauji rahi mastane
raho me rukna na jane
apne irado ke aage mushkil ko mushkil na mane

ek safar hai apni zindagi
raah me gam hai or khushi bhi
jo bhi mile hum yu apnaye
jaise hame ho chah usi ki
sathi re sathi re ham hai ummido ke afsane
hum man mauji rahi mastane
raaho me rukna na jane
apne irado ke aage mushkil ko mushkil na mane

pyar ke pyase sare jaha ko
ham to sada apna hi samjhe
ye hai apna wo hai paraya
in bato me kabhi na uljhe
sathi re sathi re hum to hai aise diwane
hum man mauji rahi mastane
raaho me rukna na jane
apne irado ke aage mushkil ko mushkil na mane
Aa Meri Baho Mey
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Dagabaaz/Aa-Meri-Bahon-Men-Jh
aa meri baho me jhul jaa
tu kya hai mai kya hu bhul ja
dilruba dilruba
teri in baho me o sanam
bhulu mai sari dunia ke gam o sanam o sanam

hasrate dil me yu uthi
yu ghata aasma pe ho
bijliya hai ghatao me
meri ja unse bach raho
ab kya jo bhi ho ho jaye
aa meri baho me jhul ja
tu kya hai mai kya hu bhul ja
dilruba dilruba
teri in baho me o sanam
bhulu mai sari dunia ke gam o sanam o sanam

vadiya ye hari bhari
aaj kyu lag rahi jawa
bat kuch ban gayi hai yu
tum ham mil gaye yaha
hamse hi rut aaye jaye
aa meri baho me jhum jaa
tu kya hai mai kya hu bhul ja
dilruba dilruba dilruba dilruba
Aake Bachale Oh Palanhare
Music: Jeetu Tapan
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ganga-Kinare/Aake-Bacha-Le-O-
ye nanha sa deep hai mera isko tufano ne ghera
ab to ek sahara tera, ab to ek sahara tera
bujhta deepak tujhko pukare aake bachale o palanhare
bujhta deepak tujhko pukare
aake bachale o palanhare, palanhare
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
bujhta deepak tujhko pukare
aake bachale o palanhare, palanhare

mandir mandir murat teri har murat hai surat teri
pal pal hume jarurat teri, aas lagaye aaye tere dware
aaye tere dware
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan

aasha nirasha hasna rona
jeevan pana jeevan khona
jo kuch bhi hai jis pal hona
hoga teri marji ke sahare tere sahare
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
jay narayan jay narayan jay jay jay jay jay narayan
bujhta deepak tujhko pukare
aake bachale o palanhare, palanhare

teri bhakti se jaaye nirasha
tu hi puri kare har aasha
phir kyu hum hi rah gaye pyase
teri kripa thi ganga kinare
raksha karo he rakhwale
kripa karo he rakhwale
jay narayan jay narayan
jay narayan jay narayan
jay narayan jay narayan
jay narayan jay narayan
Hum Azad Ho Jaha
Music: S.N.Tripathi
Lyricist: B.D.Mishra
Tag: Hindi
Video:
hum azad ho jaha dil me pyar ho jawa
ho bahar ka shama jindagi hai wahi
hum azad ho jaha dil me pyar ho jawa
ho bahar ka shama jindagi hai wahi

rahe milke waha hum jaha gum na ho
rahe milke waha hum jaha gum na ho
mil gayi jo khushi wo kabhi kam na ho
mil gayi jo khushi wo kabhi kam na ho
ek naya aasiya hum banaye waha
mastiya ho ajha jindagi ha owahi
hum azad ho jaha dil me pyar ho jawa
ho bahar ka shama jindagi hai wahi

o khuda kar raham teri dunia me hum
sah rahe hai sitam muskilo me hai ja
jor chalta nahi gum ye talta nahi
dum nikalta nahi aaye ja hai kaha
o khuda o khuda o khuda o khuda