People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Mein Tujhse Pyar Nahi Karti
Singer: Ramya Behara
Music: M.M.Kreem
Lyricist: Manoj Muntashir
Album: Baby(2015)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baby/Main-Tujhse-Pyaar-Nahin-
main tujhse pyar nahi karti
main tujhse pyar nahi karti par koi aisi sham nahi
jab main apni tanhai me tera intezar nahi karti
main tujhse pyar nahi karti

main tujhse pyar nahin karti
par shehar me jis din tu na ho ye shehar paraya lagta hai
har phul lage begana sa har shazar paraya lagta hai
main tujhse pyar

wo almari kapdowali lawaris ho jati hai
yeh pehnu ya woh pehnu ye uljhan bhi kho jati hai
mujhe ye bhi yaad nahi aata rang mujhko kon se pyare hai
mere shauk pasand meri bin tere sab banjare hai

main tujhse pyar nahi karti, main tujhse pyar nahi karti
main tujhse pyar nahi karti, main tujhse pyar nahi karti
par aisa koi din hai kya, jab yaad tujhe teri baato ko
sau sau baar nahi karti, sau sau baar nahi karti
Mein Tujhse Pyar Nahi Karta
Singer: Papon
Music: M.M.Kreem
Lyricist: Manoj Muntashir
Album: Baby(2015)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baby/Main-Tujhse-Pyaar-Nahin-
main tujhse pyar nahi karta
main tujhse pyar nahi karta par koi aisi sham nahi
jab main apni tanhai me tera intezar nahi karta
main tujhse pyar nahi karta
dil se ye kehta rehta hu par teri saanso me chhup ke
main saanse leta rehta hu is se inkaar nahi karta
main tujhse pyar nahi karta

mujhe kuch bhi yaad nahi rehta kab din duba kab raat hui
abhi kal ki baat hai pehro tak meri deewaro se baat hui
jo hosh zaraa sa baki hai lagta hai khonewala hu
afwaa udi hai yaaro me main pagal honewala hu
main tujhse pyar nahi karta

main tujhse pyar nahi karta, main tujhse pyar nahi karta
par aisa koi din hai kya, jab yaad tuje teri baato ko
sau sau baar nahi karta, sau sau baar nahi karta