People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Arre Kya Kiya Tune
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hungama/Are-Yeh-Kya-Kiya-Tune
tere dar se khushi mangi
magar gum de diya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune
tere dar se khushi mangi
magar gum de diya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune

tere kadmo se kitna pyar
karti hai meri galiya, meri galiya
bhula kar tod na dena
kahi tum aas ki kaliya
kahi tum aas ki kaliya
kasam hai jaan de denge
agar aisa kiya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune

tujhe ye kya khabar tujhse
mujhe kitni mohabbat hai
mohabbat me mujhe tujhse
bas itni si shikayat hai
rulane ke liye jalim
mera dil kyu liya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune

milega kya tujhe ulfat bhare
is dil ko thukra kar
tadpate jayenge hum to
agar tu khush hai tadpa kar
agar tu khush hai tadpa kar
jo tera hai usi dil par
sitam kyu kar diya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune
Meri Sakhi Bataa
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hungama/Meri-Sakhi-Bata/MkUxC
meri sakhi bata kya batau
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri raat re
kya kahu piya are bhai kuch bhi kah do
kya kahu piya ankhiyo me kati meri sagri raat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri raat re
kya kahu piya ankhiyo me kati meri sagri raat re
meri sakhi bata

meri sakhi se hui takrar chhod gayi gharbar
meri sakhi se hui takrar chhod gayi gharbar
raat hui to yaad sakhi ki aayi barambar
raat hui to yaad sakhi ki aayi barambarr
man pachhtaya ji bhar aaya
man pachhtaya ji bhar aaya
mat pucho baat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata

mai bhor bhaye tak jagi mohe jara nind na lagi
mai bhor bhaye tak jagi mohe jara nind na lagi
mai soch soch ho gayi bawariya kahe sajan se bhagi
mai soch soch ho gayi bawariya kahe sajan se bhagi
mujhe ghadi ghadi kahe mora jiya
mujhe ghadi ghadi kahe mora jiya
teri papan jaat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata
ye munh aur daal masur ki
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Ye-Munh-Aur
yeh munh aur daal masur ki
yeh munh aur daal masur ki
jara dekho toh, jara dekho toh surat hujur ki
jara dekho toh surat hujur ki, hujur ki, hujur ki
yeh munh aur daal masur ki
yeh munh aur daal masur ki

phiki phiki surat mizaj tikha tikha
kha kar kaha se aaye aaj tikha tikha
phiki phiki surat, o phiki phiki
phiki phiki surat mizaj tikha tikha
kha kar kaha se aaye aaj tikha tikha
mizaj tikha tikha
jal jaye naa jaban hujur ki
jal jaye naa jaban hujur ki, hujur ki, hujur ki
yeh munh aur daal masur ki
yeh munh aur daal masur ki

bandar shahar kaa aaya hai ganv me
bandar shahar kaa yeh aaya hai ganv me
maje se hilaye dum pipal ki chhanv me
bandar shahar kaa aaya hai ganv me
maze se hilaay dun pipal ki chhanv me
pipal ki chhanv me
sujhi andhe ko, sujhi andhe ko kitni hai dur ki
sujhi andhe ko kitni hai dur ki, hai dur ki, hai dur ki
yeh munh aur daal masur ki
yeh munh aur daal masur ki
ham toh jani pyar karega
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Hum-To-Jani
jo sine me naa dil hota, toh phir ham tum pe kyon marte
aan bolo naa
are jo sine me naa dil hota, toh phir ham tum pe kyon marte
mohabbat jaisa ghatiya kaam, karte bhi toh kyon karte
hay re hay re daacz gadi ke injan ki kasam
ham toh jani pyar karega, pyar karega, pyar
are are are are are diwane abe marega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani

abhi hai jawa duniya kaa kuchh nahi hai maja chakkha
pyar nahi toh duniya me phir bolo kya hai rakkha
abhi hai jawa duniya kaa kuchh nahi hai maja chakkha
pyar nahi toh duniya me phir bolo kya hai rakkha
rok sako toh roko hamko
rok sako toh roko hamko ham toh naina char karega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani

dil se dil kaa sauda karne yeh hai aaya banda
maan bhi jao pyar se achchha nahi hai koyi dhandha
dil se dil kaa sauda karne yeh hai aaya banda
maan bhi jao pyar se achchha nahi hai koyi dhandha
jaan ki teree khair nahi hai, abe bhag jaldi
jaan ki teree khair nahi hai agar too takrar karega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani

pehle toh dil phenk kabhi naa dekha aisa waisa
kabhi huwa hai aur naa hoga dekho mere jaisa
pehle toh dil phenk kabhi naa dekha aisa waisa
kabhi huwa hai aur naa hoga dekho mere jaisa
mano ya naa mano ham toh
mano ya naa mano ham toh tumko gale kaa haar karega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega
ham toh jani
hay hay hay hay re
surat ho tho aisi ho
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Surat-Ho-To
aa, zulf hai dosh pe ya saanp hai balkhaya hua
chaal jaise mor koyi raks me aaya hua
e dil ki dushman hai ye aankho ke gulaabi dore
bach ke jaayega kahaan chot koyi khaaya hua
ek nazar me dil le jaaye
ek nazar me dil le jaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
dekh jise chanda sharmaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho

aa, ek ek akh teri pure sawa lakh di hai o
zindagi saaddi tere agge fakat takh di hai o
sondiyan jaag diyan hotho pe naam hai tera o
o soniyo tisri baar teri gali kaa aaj phera hai o
are dekh ke munh se nikle haay
are dekh ke munh se nikle haay surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
ek nazar me dil le jaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
dekh jise chanda sharmaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho

ek nozor me dil le jaaye
ek nozor me dil le jaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
ek nazar me dil le jaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
dekh jise chanda sharmaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho

haay re haay re baat chalat hai thumak thumak
thaa thayi
baat chalat hai thumak thumak kyun gopi brindaban ki
jo dekhat so sudh budh bhulat pal chhin me tan man ki
ye do naina mad ke pyale kesh ye ghunghar waale
are rup daas aaya hai le ke abhilaasha darshan ki hoy
ang ang bijali lahraaye
ang ang bijali lahraaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
ek nazar me dil le jaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
dekh jise chanda sharmaaye surat ho to aisi ho
surat ho to aisi ho
phir wohi chand wohi hum
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Phir-Wohi-C
phir wahi chand wahi ham wahi tanhayi hai
phir wahi chand wahi ham wahi tanhayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand wahi ham wahi tanhayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand

dur duniya se kahi bhigi huyi raato me
dur duniya se kahi bhigi huyi raato me
do mohabbat bhare dil gum hain hasin baato me
do mohabbat bhare dil gum hain hasin baato me
dil me jo baat hai aankho me chali aayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand

yeh samundar kaa kinara, hai yeh khamoshi kaa sama
yeh samundar kaa kinara, hai yeh khamoshi kaa sama
yeh ik khab mohabbat kaa
ik khab mohabbat kaa hai iss waqt jawan
naa koyi dar hai jamane kaa naa ruswayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand, wahi ham, wahi tanhayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand
yeh arzu thi kabhi hum bahar
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Ye-Arzoo-Th
zindagi di thi jo jine ka maza kyun na diya
o meri qismat me ye aaraam kyun na diya
kyun na diya
ye aarzu thi kabhi ham bahaar dekhenge
ye aarzu thi kabhi ham bahaar dekhenge
kise pata tha khizaan baar baar dekhenge

karaar paa ke bhi qismat me bekraari hai
karaar paa ke bhi qismat me bekraari hai
wo aur honge jo ji kaa karaar dekhenge
wo aur honge jo ji kaa karaar dekhenge

abhi to pyaar ka ik khwaab hamne dekha hai
abhi to pyaar ka ik khwaab hamne dekha hai
gale me kab teri baaho kaa haar dekhenge
gale me kab teri baaho kaa haar dekhenge

tera milaap jidaayi se kam nahi hai sanam
tera milaap jidaayi se kam nahi hai sanam
tamaam umr tera intzaar dekhenge
tamaam umr tera intzaar dekhenge
ye aarzu thi kabhi ham bahaar dekhenge
Mr.John Ya Baba Khan
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Mr.John-Ya-
mr john ya baba khan ya lala roshandaan
mr john, baba khan ya lala roshandaan
jo koyi dekhe mera jalwa ho jaaye qurbaan
mr john, baba khan ya lala roshandaan
jo koyi dekhe mera jalwa ho jaaye qurbaan
ya qurbaan, ya qurbaan, ya qurbaan
mr john, baba khan ya lala roshandaan

jhum ke barse baadal mai jo zulfe apni kholu
jhum ke barse baadal mai jo zulfe apni kholu
duniya samajhe moti barse mai jo kuchh bhi bolu
karu jo ek ishara jhuke zamaana saara
mere aage bichhte jaaye dilawaale naadaan
mr john, baba khan ya lala roshandaan
jo koyi dekhe mera jalwa ho jaaye qurbaan
mr john, ya ho mr john
ya ho baba khan, ya ho baba khan
ya ho mr john, ya ho mr john
ya lala roshandaan

meri khaatir duniya kya-kya bharati hai bahrup
meri khaatir duniya kya-kya bharati hai bahrup
meri nazar se par nahi chhupta kisi kaa asli rup
zara si aankh dabaau to duniya ko bharmaau
ek nazar me bech ke rakh du mai sau-sau insaan
ya qurbaan, ya qurbaan, ya qurbaan, ya qurbaan
mr john, baba khan ya lala roshandaan
jo koyi dekhe mera jalwa ho jaaye qurbaan
mr john, ya ho mr john
ya ho baba khaan, ya ho baba khaan
ya ho mr john, ya ho mr john
ya lala roshandaan
daane daane pe likha hi
Singer: C.Ramachandra
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Dane-Dane-P
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam

koyi kitna amir ho yaa kitna garib
paaye utna hi jitna hai uska nasib
koyi kitna amir ho yaa kitna garib
paaye utna hi jitna hai uska nasib
aage maalik ke chalta nahi koyi daam
lene waale karod dene waala ek raam
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam

teri qismat ki likhi huyi hai kitaab
tere ek ek din kaa hai usme hisaab
teri qismat ki likhi huyi hai kitaab
tere ek ek din kaa hai usme hisaab
tere bas me naa subah hai naa teri shaam
lene waale karod dene waala ek raam
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam

kabhi garmi ki mauj kabhi baarish kaa rang
aise chakkar ko dekh saari duniyaa hai dang
kabhi garmi ki mauj kabhi baarish kaa rang
aise chakkar ko dekh saari duniyaa hai dang
chaand suraj zamin sab uske gulaam
lene waale karod dene waala ek raam
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam
lene waale karod dene waala ek raam
kehte hain pyar kisko
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Kahte-Hai-P
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de
o bejuban sikha de
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de
o bejuban sikha de

mushkil hai iss jahan me aajadiyo se rehna
mushkil hai iss jahan me aajadiyo se rehna
jo baat dil me aaye usko juban se kehna
jo baat dil me aaye usko juban se kehna
aajad too hai jaisa waisa hame bana de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de
o bejuban sikha de
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de
o bejuban sikha de

nafrat ki wadiyo se ho dur ek basera
shame jahan suhani rangin ho sawera
nafrat ki wadiyo se ho dur ek basera
shame jahan suhani rangin ho sawera
woh kaun si hai duniya rasta jara dikha de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de
o bejuban sikha de
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de
o bejuban sikha de
hasino se mohabbat kaa
Singer: C.Ramachandra
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Haseenon-Se-Muhabbat-K
ho hasino se mohabbat kaa
aah hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain

ho kabhi kajal kee farmaish kabhi powder kee farmaish
kabhi circus kee jidd hain aur kabhi theater kee farmaish
nikalwati hain diwala aji dilbar kee farmaish
kachheri aur thane me bahut hee nam hota hain
kachheri aur thane me bahut hee nam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain

ho takke ho jeb me toh takke ho jeb me toh
husnwale dil lagate hain
gale me dalkar bahen badi ulfat jatate hain
agar aasheek ho kadka toh dur se rasta dikhate hain
ho jiska bank me khata wahi gulfam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
deewana ye parwana
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Diwana-Parwana/N1sgQQx
deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aaye
jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aaye
jalne ke dhang nirale samjhe kya duniya wale
ishq tera afasana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye
parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye
yaad mein parwane ki subah tak jaan jalaye
ho khel nahi dil ka lagana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

jalne jalane mein kahani hain pyar ki
mitne mitaane mein jawani hain pyar ki
pyar mein marna ho jeene ka bahana
shamma pe aaya leke dil ka nazarana
ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
dil dhadke nazar sharmaye
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Dil-Dhadke-Nazar-Sharm
dil dhadke nazar sharmaye dil dhadke nazar sharmaye
to samjho pyaar ho gaya pyaar ho gaya
dil dhadke nazar sharmaye
to samjho pyaar ho gaya pyaar ho gaya
raaton ko neend na aaye
to samjho pyaar ho gaya pyaar ho gaya

o ankhiyan din ko sapne dekhe paagal manwa dole
o meetha meetha dard uthe jab dil mein haule haule
aur yaad kisi ki aaye jiya bhar aaye
to samjho pyaar ho gaya pyaar ho gaya
dil dhadke pyaar ho gaya

chupke chupke mann mein laage armaanon ka mela
koi kisi ki yaad mein dooba baitha rahe akela
chupke chupke mann mein laage armaanon ka mela
koi kisi ki yaad mein dooba baitha rahe akela
tasveer si ek ban jaaye nazar na aaye
to samjho pyaar ho gaya pyaar ho gaya
pyaar ho gaya dil dhadke nazar sharmaye
to samjho pyaar ho gaya pyaar ho gaya
mehfil me mere kaun ye
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Mehfil-Mein-Meri-Kaun/
mehfil me mere kaun ye diwana aa gaya
jab shama ne pukara to parwana aa gaya o parwana aa gaya
mehfil me mere kaun ye diwana aa gaya
jab shama ne pukara to parwana aa gaya o parwana aa gaya

aana hai mere pas toh khanjar ko dekh lo
aana hai mere pas toh khanjar ko dekh lo khanjar ko dekh lo
aji yun kaho ki aankh ke nashtar ko dekh lo
dekha tujhe toh husn pe mar jana aa gaya o mar jana
mehfil me mere kaun ye diwana aa gaya
jab shama ne pukara toh parwana aa gaya o parwana aa gaya

diwane diwane apani maut kaa bhi dar nahi tumhe
diwane diwane apani maut kaa bhi dar nahi tumhe
diwane aise hote hain khabar nahi tumhe
diwane aise hote hain khabar nahi tumhe
ai husn hoshiyar ki diwana aa gaya ki diwana aa gaya
mehfil me mere kaun ye diwana aa gaya
jab shama ne pukara toh parwana aa gaya o parwana aa gaya
dhire se aaja ri ankhiyan me
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Dheere-Se-Aaja-Ri-Ankh
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
chupke se nainan ki bagiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja

o lekar suhane sapno ki kaliya
sapno ki kaliya
lekar suhane sapno ki kaliya
aake basa de palkon ki galiya
palko ki chhoti si galiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja

o jagti hai ankhiya soti hai kismat
jagti hai ankhiya soti hai kismat
dushman garibo ki
hoti hai kismat, soti hai kismat
dam bhar garibo ki kutiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja

ho ankhen to sabki hain ek jaisi
ankhen to sabki hain ek jaisi
jaisi amiro ki, garibo ki waisi
garibo ki waisi
kismat ke maaru ki ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja
balama bada nadan re
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Balma-Bada-Nadaan-Re/M
balama bada nadan re, balama bada nadan
prit ki na jaane pehchaan re
balama bada nadan re, balama bada nadan

bainya pakadu
bainya pakadu haath dabaau bainya pakadu haath dabaau
samajhat naahi kaise samjhaau samajhat naahi kaise samjhaau
laakh jatan kiye, haar gayi main rogi ho gayi jaan re
balama bada nadan re balama bada nadan re
balama bada nadan re

bedardi sang nata laga bedardi sang nata laga
meri prit ka magan jaga meri prit ka magan jaga
ginti karu me kayaa karu me
ab to meri mann re
balama bada nadan re, balama bada nadan
balama bada nadan re, balama bada nadan
prit ki na jaane pehchaan re
balama bada nadan
kabhi kaali ratiyaa
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Qismat-Ki-Hawa-Kabhi-N
kabhi kaali ratiyaa
kabhi din suhaane
kismat ki baate to
kismat hi jaane, o betaa ji
o betaa ji, are o baabu ji
kismat ki hava
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam, o betaa ji
kismat ki hava
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam, o betaa ji

bade akad se betaa nikale
ghar se actor hone
vaah ri kismat, vaah ri kismat
kismat me the
likhe baratan dhone
are bhai likhe baratan dhone
o betaa ji
jine ka mazaa
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam
o betaa ji, are o baabu ji
kismat ki hava
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam, o betaa ji

duniyaa ke is chidiyaa ghar me
tarah tarah kaa jalavaa
mile kisi ko sukhi roti
kisi ko puri halavaa
are bhai kisi ko puri halavaa
o betaa ji
khichadi ka mazaa
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam
o betaa ji, are o baabu ji
kismat ki hava
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam, o betaa ji

dard diyaa to thodaa thodaa
khushi bhi thodi thodi
vaah re maalik, vaah re maalik
duhkh aur sukh ki
khub banaayi jodi
are vaah khub banaayi jodi
o betaa ji
jivan ka nashaa
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam
o betaa ji, are o baabu ji
kismat ki hava
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam
kabhi naram garam
naram garam, o betaa ji
sham dhale khidki tale
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1971)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Sham-Dhale-Khidki-Tale
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod do
tum siti bajana chhod do ghadi-ghadi khidki me khadi
tum teer chalana chhod do tum teer chalana chhod do
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod do
tum teer chalana chhod do

roz-roz tum meri gali me chakkar kyo ho katte
aji chakkar kyo ho katte sachi sachi bat kahu mai
sachi sachi bat kahu mai aji tumhare vaste tumhare vaste
jao jao hosh me aao yu aana jana chhod do
yu aana jana chhod do sham dhale khidki tale
tum siti bajana chhod do tum teer chalana chhod do

mujhse tumhe kya matlab hai ye bat zara batlao
mujhse tumhe kya matlab hai ye bat zara batlao
bat fakat itani si hai ki tum meri ho jao
ao ao tum meri ho jao aisi bate apne dil me
sahib tum lana chhod do sahib tum lana chhod do
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod do
tum teer chalana chhod do

char mahine mehanat ki hai aji rang kabhi to layegi
jao-jao ji yahan tumhari dal kabhi galne na payegi
aji dal kabhi galne na payegi dilwalo matvalo par
tum raub jamana chhod do tum raub jamana chhod do
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod do
tum teer chalana chhod do
bholi surat dil ke khote
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Bholi-Surat-Dil-Ke-Kho
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote

naye zamaane ke ye chhaila, ujle kapde dil hai maila
rang birangi inki tie, ghar mein lekin kadki chaayi
kadki chaayi, kadki chaayi, kadki chaayi
rang birangi inki tie, ghar mein lekin kadki chaayi
fashion mein dil mote mote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote

naye zamaane ki ye naari
unchi sendal baaki saadi
naino mein kajra hotho pe laali
haath mein kangan kaan mein baali, kaan mein baali
naino mein kajra hotho pe laali
nakhre bade mote mote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote

husn aur ishq ki ye ladayi
suru se jag mein hoti aayi
na koi jeete na koi haare
ajee kyun na phir mil jaaye pyaare
na tum bade na hum chhote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
shola jo bhadke dil mera dhadke
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Shola-Jo-Bhadke/OwQKVS
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke

mehki havaye behke kadam mere
aise me tham lo aa ke balam mere
mehki havaye behke kadam mere
aise me tham lo aa ke balam mere
patta bhi khadke to bijli si kadke
patta bhi khadke to bijli si kadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke

pyar ko mere kisne pukara
dil me utar gaya kiska ishara
pyar ko mere kisne pukara
dil me utar gaya kiska ishara
yaad ye kiski layi pakad ke
yaad ye kiski layi pakad ke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke

aaaa dekha jo tumko
dekha jo tumko dard gaya tham
ab to na honge tumse juda ham
dekha jo tumko dard gaya tham
ab to na honge tumse juda ham
ji na sakenge tumse bichhad ke
ji na sakenge tumse bichhad ke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
dhire se aaja ri ankhiyan me
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Albela(1951)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Dheere-Se-Aaja-Ri-Ankh
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
chupke nainan ki bagiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja

lekar suhane sapno ki kaliya
sapno ki kaliya
lekar suhane sapno ki kaliya
aake basa de palko ki galiya
palako ki chhoti si galiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
chupke nainan ki bagiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja

taro se chhup kar taro se chori, taro se chori
taro se chhup kar taro se chori
deti hai rajni chanda ko lori
hansata hai chanda bhi nindiya me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
chupke nainan ki bagiyan me
nindiya aaja ri aaja, dhire se aaja
Eena Meena Deeka(Female)
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Aasha(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aasha/Eena-Meena-Deeka-F/MQkz
eena mina dika dayar demin nika
maka naka naka chika pika rika
eena mina dika dayar demin nika
maka naka maka naka chika pika rika
ram pam push ram pam push

is duniya me dil na lagana
dil deke padega pachtana
is duniya me dil na lagana
dil deke padega pachtana
ye rup ke pujari ye dil lene wale
pahle pahle hote hai bade bhole bhale
kaleje ko tham pukarenge nam
tu hi hain tu hi hain tu hi to hain wo
eena mina dika, eena mina dika
dayar demin nika, dayar demin nika
maka naka naka, maka naka naka
chika pika rika, chika pika rika
eena mina dika dayar demin nika
maka naka maka naka chika pika rika
ram pam push ram pam push

mat bhulo hai pyar ek nam
uglega jahar bhari aag
ye dil ko jalaye ye sholo pe sulaye
jo phulo se uthaye to kato me rulaye
kaleje ko tham pukarega nam
tuhi hai tuhi hai tuhi to hai wo
eena mina dika, eena mina dika
dayar demin nika, dayar demin nika
maka naka naka, maka naka naka
chika pika rika, chika pika rika
eena mina dika dayar demin nika
maka naka maka naka chika pika rika
ram pam push ram pam push
ram pam push ram pam push
Soja Re Chanda Soja
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Aasha(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aasha/Soja-Re-Chanda-Soja/IQw
so ja re chanda so ja chandniya arj kare
so ja re chanda so ja chandniya arj kare
arj kare chanda arj kare
so ja re chanda so ja chandniya arj kare

jane kaha se aaya jane kaha se aaya
aankhiya hai bhari teri dar tohe kahe ka hai
mai hu rakhvari teri dar to he kahe ka hai
mai hu rakhvari teri bekal dekh tohe bekal dekh
bekal dekh tohe mora bhi jiya jale
so ja re chandniya arj kare so ja re chanda so ja
chandniya arj kare

banke bajriya mai banke bajriya mai
tujhko chhupaye lungi de dungi jan par mai
tujhko bachaye lungi de dungi jan par mai
tujhko bachaye lungi aisa hai kon more
aisa hai kon aisa hai kon more
angana jo pav dhre so ja chandniya arj kare
so ja re chanda so ja chandniya arj kare
so ja so ja so ja so ja re chanda so ja
Tu Na Aya Aur Hone Lagi Shaam
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Aasha(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aasha/Tu-Na-Aaya-Aur-Hone-Lag
tu na aaya aur hone lagi sham re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re
tu na aaya aur hone lagi sham re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re
dekhu kab tak piya mai teri rah re
meri tak tak ke hari nigah re
rat hai aa rahi rat hai aa rahi mai to ghabra rahi
kya karu ke hai dur mera gaw re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re
tu na aaya aur hone lagi sham re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re

kaise kaise mai chupte chupate aayi chupte aayi
sari dunia se najre bachate aayi chupte aayi
dil ki dhadkan badhi dil ki dhadkan badhi
har kadam par dari ho na jau mai badnam re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re
tu na aaya aur hone lagi sham re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re

kaise ghadiya bitau intzar ki aaja lu mai duhai tere pyar ki
ab to surat dikha ab to surat dikha samne aa bhi ja
dekh kab se pukaru tera nam re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re
tu na aaya aur hone lagi sham re sawariya
mai khadi rahu ke chali jau re
sawariya sawariya o sawariya sawariya
sawariya ho sawariya
sawariya ho sawariya sawariya sawariya
Chal Chalre Kanhai Chhalia
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Aasha(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aasha/Chal-Chal-Re-Kanhai-Chh
chal chal re kanhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
me to na dungi na dungi na dungi re
me to na dungi ab tori ye muraliya
chal chal re kanhai chaliya

bajegi na jamuna ke teeth
bajegi na jamuna ke teeth
basuriya nikalegi ghar se
na koi bhi gujariya
bada tha guman tujhe murli ke zor pe
chhal tera ab kaise chalega sawariya
kaise hogi sunwai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chaliya
chal chal re kanhai chaliya
me to na dungi na dungi na dungi re
me to na dungi ab tori ye muraliya
chal chal re kanhai chaliya

bansi me roj tujh dur se dikhaungi
bansi me roj tujh dur se dikhaungi
aankho pe bichaungi seene se lagaungi
tujhse bhi pyari mujhe baas ki ye pori hai
chum chum ise tujhe khub me jalaungi
de ke preet ki duhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chaliya
chal chal re kanhai chaliya
chal chal re kanhai chaliya