People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Chand Sitare
Singer: Kumar Sanu
Lyricist: Saawan Kumar Tak
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kaho-Naa-Pyaar-Hai/Chand-Sita
Chaand sitare phool aur khushboo ye to saare puraane hain
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewne hain
Arre kaali ghatayein barkha saawan
O kaali ghatayein barkha saawan
Ye to sab afsane hain
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewne hain

Andaz hai uske naye naye, hai naya naya deewanapan
Andaz hai uske naye naye, hai naya naya deewanapan
Pehnane taj jawaani ka hanske laut gaya bachpan
Geet ghazal sab kal ki baatein
O geet ghazal sab kal ki baatein
Uske naye taraane hain
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewne hain

Hai roop mein itna saadapan, to kitna sundar hoga mann
Hai roop mein itna saadapan, to kitna sundar hoga mann
Bin gahnein aur singaar bina vo to lagti hai dulhan
Kaajal bindiya kangan jhumke
O kaajal bindiya kangan jhumke
Ye to guzare zamane hain
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewne hain

Chaand sitare phool aur khushboo ye to saare puraane hain
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewne hain
Arre kali ghatayein barkha saawan
Ye to sab afsane hain
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewne hain