People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 17 *

ae dile nashad tera shukriya
Singer: Asha Bhosle
Music: Sardar Malik
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Aab-E-Hayat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aab-E-Hayat/Ae-Dile-Nashad-Te
aag ko guljar karne ke liye
ishq nikla ghar se marne ke liye
aur nagma ga rahi hai bekhudi
maut hai aa behaya se zindagi
ae dile nashad tera shukriya
ae dile nashad tera shukriya
kar diya barbad tera shukriya shukriya
ae dile nashad tera shukriya

ek teri yaad ki tasvir dil me le chale
ek teri yaad ki tasvir dil me le chale
iske badle dekh tujhko sari duniya de chale
phir bhi hai dilshad kahti ae wafa
phir bhi hai dilshad kahti ae wafa
ae dile nashad tera shukriya
kar diya barbad tera shukriya shukriya
ae dile nashad tera shukriya

mai jo aau yaad tu mere sanam rona nahi
mai jo aau yaad tu mere sanam rona nahi
yaad se meri kabhi bechain tum hona nahi
tu rahe aabad bas itni dua
tu rahe aabad bas itni dua
ae dile nashad tera shukriya
kar diya barbad tera shukriya shukriya
ae dile nashad tera shukriya
Mohabbat Ek Shola Hi
Music: Roshan
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Aagosh
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aagosh/Mohabbat-Ek-Shola-Hai/
mohabbat ek shola hai
huye hum khaak yun jalkar
jalein koyi to jaane
bacha daaman jamaane

nahi maalum kya manzur hai taqadir ko meri
taqadir ko meri
nahi maalum kya manzur hai taqadir ko meri
taqadir ko meri
kate hain aaj tak rote mere saawan suhaane
bacha daaman jamaane

bahe aansu hansi kismat lute aramaan bhi mere
aramaan bhi mere
bahe aansu hansi kismat lute aramaan bhi mere
aramaan bhi mere
rahe fariyaad hi bankar mere rangeen taraane
bacha daaman jamaane

kisi se dil lagaake hum yaha barbaad ho gaye
barbaad ho gaye
kisi se dil lagaake hum yaha barbaad ho gaye
barbaad ho gaye
ye jalta sa jigar apna ye jalte se fasaane
bacha daaman jamaane
Tujhe Awaaz Deti Hai
Music: S.D.Batish
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haar-Jeet/Tujhe-Awaz-Deti-Hai
tujhe aawaz deti hain
tujhe aawaz deti hain tadap kar zindagi meri
jara tu dekh ja ek baar aakar bebasi meri
tujhe aawaz deti hain

bahaye aankh ne aansu wo manjar yaad to aaya
udhar wo samne the aur idhar thi bebasi meri
tujhe aawaz deti hain

nahi kuch dosh duniya ka
jo duniya ne sitam dhaye sitam dhaye
nahi kuch dosh duniya ka
jo duniya ne sitam dhaye sitam dhaye
udani thi mukkadar ne
mohabbat me hasi meri
tujhe aawaz deti hain

bichhad kar tujhse jeena maut hain
o zindagi wale tere kadmo me jo gujre
wahi hai zindagi meri
tujhe aawaz deti hain
Ae Dil Kaise Sunau
Singer: Suraiya
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Ae-Dil-Kise-Sunaoon/OSUAaD51AVA
Video:
ae dil kise sunau ye dukh bhara fasana
ae dil kise sunau ye dukh bhara fasana
roti rahi mohabbat hansta raha zamana
ae dil kise sunau ye dukh bhara fasana

jis din se wo khafa hai taqdeer bhi khafa hai
jis din se wo khafa hai taqdeer bhi khafa hai
taqdeer bhi khafa hai
kitna badal gaya hai mere liye zamana
kitna badal gaya hai mere liye zamana
roti rahi mohabbat hansta raha zamana
ae dil kise sunau ye dukh bhara fasana

ro ro ke kah rahi hai unse meri mohabbat
ro ro ke kah rahi hai unse meri mohabbat
unse meri mohabbat
duniya badal gayi hai tu bhi badal na jana
duniya badal gayi hai tu bhi badal na jana
roti rahi mohabbat hansta raha zamana
ae dil kise sunau ye dukh bhara fasana
Chhaya Sama Suhana
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Chhaya-Sama-Suhana/GxkaYj9hbkY
Video:
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
aramaan machal rahe hai hotho pe hai taraanaa -2
dil kis tarah sambhaale haay jawaan zamaanaa

chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
aankho me hai bahaare ab ham jise pukaare -2
kisase kahe nigaahe ye pyaar kaa fasaanaa

ho chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
sunataa na ho kahi wo baithaa na ho kahi wo -2
karate ho pyaar jisase dil jisape hai lutaanaa

ho chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
o chaand chaudahwi ke mai hun teri chakori -2
meraa dil na tod denaa mat kar galat uthaanaa
ho chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
chhaayaa samaan suhaanaa ho chhaayaa samaan suhaanaa
Tere Gam Ke Sahare
Singer: Suraiya
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Video:
tere gam ke sahare jee rahi hai jindagi meri
tere gam ke sahare jee rahi hai jindagi meri
judai jahar hai par pee rahi hai jindagi meri
mere sine pe aise teer chhode hai jamane ne
mere sine pe aise teer chhode hai jamane ne
ki dil ke jakham
ab tak see rahi hai jindagi meri
ki dil ke jakham
ab tak see rahi hai jindagi meri

meri duniya mein tu aaye
ujala pyar ka chhaye
meri duniya mein tu aaye
ujala pyar ka chhaye
kisi hasart ko lekar
jee rahi jindagi meri
kisi hasart ko lekar
jee rahi jindagi meri

kahani dard ki ab kah rahi hai
dil jale aansu
kahani dard ki ab kah rahi hai
dil jale aansu
fasana pyar ka likhati rahi
jindagi meri
tere gam ke sahare jee rahi hai jindagi meri
Jawani Jhulti Hai
Music: S. Mohinder
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
jawani jhulti hai jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jami se aasma tak jami se aasma tak ab jawani aati jati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai

meri julfo ko jhuk kar chumte hai jhumte badal
meri julfo ko jhuk kar chumte hai jhumte badal
sabhi ranginiya badhkar pakadti hai mera aachal
dhun ko angdayi lekar apni baho me bulate hai
jami se aasma tak ab jawani aati jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai

meri aankho me paymane meri julfo me maykhane
meri aankho me paymane meri julfo me maykhane
baras jaye ye matlwali kab dil pe kya jane
aji kab dil pe kya jane
hawa aahista aahista mera ghunght uthati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai

anokhe saj sine me nirale geet hotho par
anokhe saj sine me nirale geet hotho par
najar kuch gungunati hai kabhi uth kar
kabhi jhuk kar kabhi uth kar mohabbat dil ki gahrayi me
mohabbat dil ki gahrayi me shahnayi bajati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai

ye masti si fiza me mere balo ka lahrana
ye masti si fiza me mere balo ka lahrana
sambhalo apni baho me sambhalo apni baho me
ke mujhko nind aati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai
Kiski Nazar Ka Mast Ishara
Music: Roshan
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Kisi-Ki-Nazar-Ka-Mast-Ishara/ISIYQiJ4fUM
Video:
kis najar ka mast ishara hai jindagi
is aasman ka tuta sitara hai jindagi
kis najar ka mast ishara hai jindagi
is aasman ka tuta sitara hai jindagi

kya kastiya rahegi ye lahro se hoshiyar
lahro se hosiyar
unke hai jinse laakh ummido ke bekrar, haye bekrar
dariya ka ek bahta kinara hai jindagi
is aasman ka tuta sitara hai jindagi
kisi najar ka mast ishara hai jindagi
is aasman ka tuta sitara hai jindagi

jine usi ka hai jo jiye aur ke liye
jine usi ka hai jo jiye aur ke liye
aanshu bhi de nasib to hanskar unhe piye
duniya ko ye pyaam humara hai jindagi
is aasman ka tuta sitara hai jindagi
kisi najar ka mast ishara hai jindagi
is aasman ka tuta sitara hai jindagi
Yehi Bahar Hai Duniya
Music: Roshan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Yahi-Bahar-Hai/HVssQxhlU0s
Video:
yahi bahar hai, yahi bahar hai
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki hai
khushi manane ki
yahi ghadi hai jawani ki gungunane ki hai
ha muskurane ki

ye pyare pyare najare ye thandi thandi hawa
ye halka halka nasha
ye kaali kaali ghatao ki mast mast ada
ye koyalo ki sadaa
machal ke aa gayi rut mastiya lutane ki
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki hai
khushi manane ki

kali kali se ye bhawre ne muskurake kaha
naja mila ke kaha
najar se kaam na nikla to gudguda ke kaha
gale laga ke kaha
kiya hai pyar to, kiya hai pyar to
kiya hai pyar to parvah na kar jamane ki
hansi udaane ki
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki hai
khushi manane ki

jo tutta hai ruba
jo tutta hai ruba usko tut jane de
mere shabab ko jee bhar ke geet gane de
ha geet gane de
mere shabab ko jee bhar ke geet gane de
ha geet gane de
tadap uthi hai, tadap uthi hai
tadap uthi hai tamnnaae jhum jane ki
lagi bujhane ki
yahi bahar hai duniya ko bhul jane ki
khushi manane ki
Dile Beqarar So Ja
Music: Roshan
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Dil-E-Beqarar-Soja/EhEcQCZZcGI
Video:
har nayi raat naya dard liye aati hai
nind aakho se bahut dur hui jati hai
mat ched jindagi ke khamosh taar so ja
dile bekrar soja
mat ched jindagi ke khamosh taar so ja
dile bekrar soja

taare chamak ke apni manjil ko ja rahe hai
manjil ko ja rahe hai
manjil ki yaad me ham aanshu baha rahe hai
aanshu baha rahe hai
aur rasate sahi hai ae ashk baar so ja
dile bekrar soja
mat ched jindagi ke khamosh taar so ja
dile bekrar soja

najare churane wale najare jara uthana
sikha kaha tumne ulfat me dil jalana
ulfat me dil jalana
ae dil jalane wale kahta hai pyar so ja
dile bekarar soja
mat ched jindagi ke khamosh taar so ja
dile bekrar soja
Karte Hain Ishaare
Music: Roshan
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Karte-Hai-Ishare-Falak-Se-Chand-Tare/Lw9SbiN,Vn8
Video:
karte hai ishaare, falak se chaand taare
o dilrubaa tu gaaye jaa
pyaar kaa ye ishaaraa, badaa hai pyara pyara
nazar se dil me aaye jaa

nazar se dil me kaise aaye
aap hi dil me aake bataae
nazar se dil me kaise aaye
aap hi dil me aake bataae
chhodo ye bahana, aisi baate na banana
mai hun shamaa, tu hai parvana
pyaar kaa ye taranaa rubaab se sunaae jaa
karte hai ishaare, falak se chaand taare
o dilrubaa tu gaaye jaa
pyaar kaa ye ishaaraa, badaa hai pyara pyara
nazar se dil me aaye jaa

lab par aaye mast taraane
chhalke taaro ke paimaane
lab par aaye mast taraane
chhalke taaro ke paimaane
raat nashili, dekho chaand hai nashila
mere saathi, kadam hai dagmagaae
hai mastiyo me aae lupt tu uthaae ja
pyaar kaa ye ishaaraa, badaa hai pyara pyara
nazar se dil me aaye jaa
Aur Hai Dil Ki
Singer: Talat Mehmood
Music: Roshan
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Aur-Hai-Dil-Ki-Lagi/Ni0HfCNDBWM
Video:
aur hai dil ki lagi aur dil lagana aur hai
ye kahani aur hai aur vo fasana aur hai
aur hai dil ki lagi

ruth ke jo chal diya, ruth ke jo chal diya
kya khabar usko bhala, kya khabar usko bhala
yaad rakhna aur hai aur bhul jana aur hai
aur hai dil ki lagi

jo tarana labh pe aaya, jo tarana labh pe aaya
vo to sabne sun liya, vo to sabne sun liya
rah gaya jo dil hi dil me vo tarana aur hai
aur hai dil ki lagi

haye kis khubi se luta, haye kis khubi se luta
bewfa taqdir ne, bewfa taqdir ne
teri barbaadi kaa ae dil har fasana aur hai
aur hai dil ki lagi
Yeh Kaisi Adayen
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Yeh-Kaisi-Adayein-Hai-Unki/GhsIYjJ5QnI
Video:
ye kaisi adayen hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen

ye dil jo lagaya badi chot khayi
ye dil jo lagaya badi chot khayi
jafa tumne ki hain aur mujhe sharm ayi
nashe me na dube ? khatayein
ye kaisi adayen, hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen

wahi aasmaan hain wahi chand tare
wahi aasmaan hain wahi chand tare
magar tum nahi wo rakhwale hamare
ye kis julm ki mil rahi hain saja
ye kaisi adayen, hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen
Yeh Kaisi Adayen
Music: Roshan
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raag-Rang/Yeh-Kaisi-Adayein-Hai-Unki/GhsIYjJ5QnI
Video:
ye kaisi adayen hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen

ye dil jo lagaya badi chot khayi
ye dil jo lagaya badi chot khayi
jafa tumne ki hain aur mujhe sharm ayi
nashe me na dube ? khatayein
ye kaisi adayen, hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen

wahi aasmaan hain wahi chand tare
wahi aasmaan hain wahi chand tare
magar tum nahi wo rakhwale hamare
ye kis julm ki mil rahi hain saja
ye kaisi adayen, hain unki adayen
ye dil ko bhi tode, nazar bhi na aaye
ye kaisi adayen
Main Kya Mera Afsana
Singer: Geeta Dutt
Music: Hansraj Behl
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Rajput(1951)
Tag: Hindi
Video:
main kya mera afsana kya
mite huye ko mitana kya
dil ki lagi ko sab rote hai
bulbul kya parwana kya
main kya mera afsana kya
mite huye ko mitana kya

aankh me hasrat, dil fariyadi
aankh me hasrat, dil fariyadi
kismat me thi ye barbadi
kismat me thi ye barbadi
bikhar gaye hai taar hi dil ke
tuta saaz bajana kya
main kya mera afsana kya
mite huye ko mitana kya

aankh se aansu jo bahte hai
aankh se aansu jo bahte hai
kahte hai to ye kahte hai
kahte hai to ye kahte hai
bedardo ki is duniya ko
sapne jigar dikhlana kya
main kya mera afsana kya
mite huye ko mitana kya
Raste Pe Hum Khade Hain
Singer: Suraiya
Music: Hansraj Behl
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Rajput(1951)
Tag: Hindi
Video:
rasate pe ham khade hai dil-e-beqaraar lekar
guzaroge kab idhar se apani bahaar le kar
rasate pe ham khade hai

thodaa saa pyaar de do ham zindagi banaa le
ho o o thodaa saa pyaar de do ham zindagi banaa le
ham zindagi banaa le
thodaa saa pyaar le kar
rasate pe ham khade hai dil-e-beqaraar lekar
guzaroge kab idhar se

aramaan machal-machal kar tujhase ye kah rahe hai
ho o o aramaan machal-machal kar tujhase ye kah rahe hai
aanaa o pyaar waale aankho me pyaar le kar
rasate pe ham khade hai dil-e-beqaraar lekar
guzaroge kab idhar se

aawaaz de rahi hai shaam-e-bahaar tumako
ho o o aawaaz de rahi hai shaam-e-bahaar tumako
shaam-e-bahaar tumako
daaman me muskaraate phulo ke haar le kar
rasate pe ham khade hai dil-e-beqaraar lekar
guzaroge kab idhar se apani bahaar le kar
rasate pe ham khade hai
Mohabbat Kisko Kehte Hai
Singer: Mubarak Begum
Music: Anil Biswas
Lyricist: Kaif Irfani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Return-Of-Mr.-Superman/Mohabbat-Kisko-Kehte-Hai/BiVeewdUR1A
Video:
ae ji mohabbat kisko kahte hai
mohabbat kaisi hoti hai
kisi par marne walo ki
tabiyat kaisi hoti hai
aji humse pucchiye

kiski ko dekh ke dil ka kisi pe aa jana
najar me aake zara dil se dil ka takrana
khushi se dil ki umango ka khil ke lahrana
magar jo baat hai dil ki use na kah pana
kisi ki shokh nigaho ka jhuk ke sharmana
inhi adao se banta hai ik afsana
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
jigar me haye
jigar me ui
jigar me dard uthta hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai

najar se dil ke ishare kalam karte hai
ye teer wo hai jo chupke se kaam karte hai
aji hasino ka sab ehatram karte hai
gurur wale bhi inko salam karte hai
magar jo marke mohabbat me naam karte hai
wo husn walo ko apna gulam karte hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
jigar me haye
jigar me ui
jigar me dard uthta hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai

najro me saikado armaan jaag uthte hai
jigar me dard ke paikane jaag uthte hai
kisi ke pyar ke ehsaan jaag uthte hai
naye fasane ke unwaan jaag uthte hai
kayamato ke ye saman jaag uthte hai
hazzaro aur bhi tufan jaag uthte hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
jigar me haye
jigar me ui
jigar me dard uthta hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai

kisi hasin ka didar ho hi jata hai
najar ka dil pe zara war ho hi jata hai
lade migahe to ikraar ho hi jata hai
najar mile to zara pyar ho hi jata hai
najar se pyar ka ijhaar ho hi jata hai
nasha ye aisa hai sarkar ho hi jata hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
jigar me haye
jigar me ui
jigar me dard uthta hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
tamanna dil me roti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai
mohabbat isko kahte hai
mohabbat aisi hoti hai