People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Yeh Prem Mol Liya - TitleTrack
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=sPEcx5UBh6M
Video:
Yeh Prem Yeh Prem Yeh Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya

Churaya Nahin Ishq Chhupaya Nahin
Khul Ke Zamane Se Bol Diya
Dua Poori Hui Rab Ki Manzoori Hui
Peepal Pe Baandha Dhaaga Khol Diya

Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya

Maine Girdhar Girdhar Mol Liya
Maine Mann Basiye Ko Tatol Liya
Mohe Laaj Sharam Na Rahi Jag Ki
Tohe Dildar Dildar Bol Diya

Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya

Tauba Humein Maar Daalein Ye Husn Walon Ke Jalwe
Tauba Humein Maar Daalein Ye Husn Walon Ke Jalwe
Hungama Machayein Ye Husn Walon Ke Jalwe

Churaya Nahin Ishq Chhupaya Nahin
Khul Ke Zamane Se Bol Diya
Dua Poori Hui Rab Ki Manzoori Hui
Peepal Pe Baandha Dhaaga Khol Diya

Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya

Chaaron Taraf Aaj Raunak Hai
Shubh Ghadiyan Jo Ye Aayi Hain
Lakh Waari Karein Hum Uska Shukr
Ki Hum Pe Mehr Barsaayi Hai

Mehndi Rachi Tere Naam Ki
Hatheli Pe Taare Chamakne Lage
Sehra Bandha Mere Naam Ka
Subah Talak Dhol Bajne Lage

Aaj Shamiyana Bhi Aisa Saja
Na Kahin Khwaabon Mein Bhi Aisi Jagah

Sone Mein Nahin Heere Moti Mein Nahin
Dil Ke Taraazuon Mein Tol Diya
Aaja Yahan Ab To Hai Jaana Kahan
Dil Ka Darwaza Maine Khol Diya

Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya

Maine Girdhar Girdhar Mol Liya
Maine Man Basiye Ko Tatol Liya
Mohe Laaj Sharam Na Rahi Jag Ki
Tohe Dildar Dildar Bol Diya

Piyaji Maine Prem Mol Liya
Piyaji Maine Prem Mol Liya
Jhumka Patola
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=wODprPLcgvo
Video:
Jhum Jhum Jhumka Patola Laaye Saajanji Hamare
Saj Sanwar Ke Hain Nikle Unki Galiyon Mein Hum Saare
Jhum Jhum Jhumka Patola Laaye Saajanji Hamare
Saj Sanwar Ke Hain Nikle Unki Galiyon Mein Hum Saare

Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola

Kiya Hai Shringaar Solah
Dil Ye Dola
Kiya Hai Shringaar Solah
Dil Ye Dola
Laaye Prem Piyaji Hamare

Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola

Dulhaniya Ko Jhumka Patola
Baaki Sab Ko Waah Waah Waah
Raajaji Ne Rang Badle Hain
Sambhal Ke Rehna Saasu Maa

Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola

Tere Liye Jhilmil Taaron Se
Tod Laaun Noor Ke Dhaage
Tere Liye Jhilmil Taaron Se
Tod Laaun Noor Ke Dhaage

Ek Sau Solah Chaandni Raatein Bhi
Kam Hain Teri Chamak Ke Aage
Sajna Sanwarna Mera Muskurana
Tere Man Ka Darpan Hai

Mera Chain-o-qaraar
Mera Chadhta Khumaar
Ab Tujhse Hi Roshan Hai

Kiya Hai Shringaar Solah
Dil Ye Dola
Kiya Hai Shringaar Solah
Dil Ye Dola
Laaye Prem Piyaji Hamare

Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Jhumka Patola Jhumka Patola Jhumka Patola
Saawan Aaya Hai
Lyricist: Mayur Puri
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=A-G-OnSD8OA
Video:
Bheege Lamhe
Bheegi Aahat
Bheegi Doori
Bheegi Dastak

Bheege Lamhe
Bheegi Aahat
Bheegi Doori
Bheegi Dastak

Bin Baadal Ke Barkha Ne Jadoo Chalaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai

Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai

Tum Aao Na Tumko Hi Dil Ne Bulaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai

Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai

Jo Tera Mann Hai
Wo Mera Mann Hai
Phir Kya Uljhann Hai?
Tu Hi Bata
Aise Chhup Chhup Ke Milna Bhi Kya?

Tu Mere Sang Hai
Main Tere Sang Hun
Aaj Satrangi Hai Aasmaan
Rang Barsa De Tu Pyaar Ka

Hai Alag Hi Maza Chhup Ke Milne Mein Jo
Hai Kahan Baat Phir Khul Ke Milne Mein Wo

Beega Bandhan
Bheegi Dori
Bheega Sangam
Bheegi Chori

Bheege Bheege Bahano Ne Humko Milaaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai

Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Saajan Tere Aane Se
Mera Saawan Aaya Hai
Bulaye Chhathi Maa
Lyricist: Manoj Muntashir
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=NKF2MdURLZk
Video:
Haathon Mein Hain Prem Ke Kangan
Sar Pe Aashirvaadon Ki Chhaya
Sab Ko Waisa Ghar-Var Dena
Ganga Maa Jo Maine Paaya

Aao Re Saare Aao
Aankhon Ke Taare Aao
Dekho Bulaaye Chhathi Maa
Bhole Bidesiya Re
Baithi Hui Hai Dwaare
Naina Bichhaye Chhathi Maa

Piya Tu Mere Paas Hai
Chhathi Maiya Saath Hai
Piya Tu Mere Paas Hai
Chhathi Maiya Saath Hai
Prem Sang Parivaar

Main Hui Poori Ganga Ji
Naman Tujhko Hai Ganga Ji
Main Hui Poori Ganga Ji
Naman Tujhko Hai Ganga Ji

Aao Re Saare Aao
Aata Aur Gud Le Aao
Thekua Banao Mil Ke Re
Nirjal Jo Vrat Ye Raakhe
Jud Jaayein Toote Dhaage
Rishte Ban Jaayein Dil Ke Re

Thaam Le Jo Tu Kalaai
Chaand Chhoo Aaun Piya
Saat Vachanon Se Bhi Aage
Main Chali Jaaun Piya

Dheeme Dheeme Chhathi Maai
Se Ye Dohraun Piya
Jitni Baari Main Janam Loon
Tujhko Hi Paaun Piya

Tu Mera Shringaar Ho
Phir Yahi Ghar-Dwaar Ho
Phir Yahi Sansaar Ho

Prem Sang Parivaar Ho
Main Hui Poori Ganga Ji
Jai Ambe Bol
Lyricist: Mayur Puri
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=fLE4Hi5RO08
Video:
Taaron Ki Chunari Aur Chandrama Ka Tika
Mata Ka Roop Lage Sooraj Sareekha
Mata Ka Roop Lage Sooraj Sareekha

Ae Haalo

Raaton Ki Raat Aayi
Mannatein Bhi Saath Laayi
Jai Ambe Jai Ambe
Bol Bol Bol Bol

Apnon Ko Paas Laayi
Sapne Bhi Saath Laayi
Jai Ambe Jai Ambe
Bol Bol Bol Bol

Dholida Dhol Vagaado
Gaaje Kartaal Nagaado
Maathe Garbi Upaado Re
Maathe Garbi Upaado Re

Dholida Dhol Vagaado
Gaaje Kartaal Nagaado
Maathe Garbi Upaado Re
Maathe Garbi Upaado Re

Chhanke Mann Ke Manjeere
Taali Dil Ne Bajaayi
Jai Ambe Jai Ambe
Bol Bol Bol Bol

Raaton Ki Raat Aayi
Mannatein Bhi Saath Laayi
Jai Ambe Jai Ambe
Bol Bol Bol Bol

Saath Mein Aao Haalo Re Haalo
Garba Gaao Haalo Re Haalo
Jhoomte Jaao Haalo Re Haalo Re

Raati Re Odhni Odhni Na Kor Thi
Radha Ji Pokare Kankuvar Ne
Aave Na Saanbhaan Kankuvar Ne

Jamna Ke Neer Nahi Na Koi Kadamb Re
Prem Jahaan Basta Wahin Vrindavan Re
Jamna Ke Neer Nahi Na Koi Kadamb Re
Prem Jahaan Basta Wahin Vrindavan Re

Baansuri Yeh Kaanha Ki
Sun Ke Dhun Yeh Kaanha Ki
Taarikaon Ne Likhe Do Naam
Taarikaon Ne Likhe Do Naam

Preet Sada Kaanha Ki
Jeet Gayi Jaana Ki
Reet Yahi Radha Ka Shyaam
Reet Yahi Radha Ka Shyaam

Humne Jo Aazmaayi
Taqdeerein Jagmagaayi
Jai Ambe Jai Ambe
Bol Bol Bol Bol

Raaton Ki Raat Aayi
Mannatein Bhi Saath Laayi
Jai Ambe Jai Ambe
Bol Bol Bol Bol

Saath Mein Aao Haalo Re Haalo
Garba Gaao Haalo Re Haalo
Jhoomte Jaao Haalo Re Haalo Re

Saath Mein Aao Haalo Re Haalo
Garba Gaao Haalo Re Haalo
Jhoomte Jaao Haalo Re Haalo Re

Ae Haalo