People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Aaya
Music: Junaid Kumar
Lyricist: Sameer
Album: Ganesh(2026)
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=WkBxKdSgIu8
Video:
Tujhko Pata Hai Na
Kya Jhooth Sach Hai Kya?
Tujhko Pata Hai Na
Kya Jhooth Sach Hai Kya?

Tujhse Toh Mujhko Hai Bas Yahi Kehna
Kuch Bhi Ho Tum Sach Ke Sang Hi Rehna
Tujhe Paa Legi Gham Utha Legi
Nahi Haaregi Ab Jiyegi Ye Tere Liye

Chori Chhupe Roti Rahi
Kisi Se Na Kuch Kaha
Tere Liye Teri Maa Ne Dukh Bada Hai Saha
Chori Chhupe Roti Rahi
Kisi Se Na Kuch Kaha

Tera Main Dulaara Tha
Tera Hi Sahaara Tha
Chhod Ke Humko Tu Gayi Kahaan?
Aa Jaana

Teri Yaad Aayegi
Humko Rulaayegi
Chhod Ke Mujhko Tu Gayi Kahaan?
Aa Jaana

Tere Sapnon Ko Poora Ab Karna Tha
Teri Khaatir Hai Jeena-Marna
Sukh Ho Ya Dukh Ho
Milke Humein Sehna Tha
Tere Saaye Mein Ab Hai Rehna

Dukh Jaayenge Sukh Aayenge
Kabhi Na Haarenge
Kaise Jiyein Tere Bina?

Chori Chhupe Roti Rahi
Kisi Se Na Kuch Kaha
Tere Liye Teri Maa Ne Dukh Bada Hai Saha
Chori Chhupe Roti Rahi
Kisi Se Na Kuch Kaha

Chori Chhupe Roti Rahi
Kisi Se Na Kuch Kaha
Tere Liye Teri Maa Ne Dukh Bada Hai Saha